
Bachpan wala Independence day | Rubaroo
Kahan gaye woh din? School mein Independence Day ki taiyaari - music, dance, skits aur woh alag hi excitement… Phir ghar aakar family ke saath time bitana, TV par desh ki khabrein dekhna, kahin ghoomne nikal jaana… Aur din ke aakhir mein chhat par patang udaana - jab poora aasman rang-birangi patangon se bhar jaata tha. Aaj sochta hoon - hamare liye azaadi ki definition kya hai? Freedom aakhir hai kya? Shayad Independence Day sirf ek celebration nahi, balki ek mauka hai thoda rukne ka… Samajhne ka… Reflect karne ka… Aur khud se rubaru hone ka. Toh is Independence Day, thoda rukte hain aur sochte hain - Hum kis cheez se azaad hain? Aur kya hum waaqai azaad hain?
Audio and video play straight from the show's own hosting. PodSubs stores and serves no media.

